Kagaz pe hamne jindagi likh di, Ashko se sinch kar har khushi likh di, dard ko jab hamne ubhara labzo pe, to logo ne kaha Wah Kya Gazal likh di....
Mit gaye hain sab zakham, Bas nishaan baaki reh gaya, Saza puri ho gayi, Karna gunaah baaki reh gaya.
Jakhm itne gahare he ki ijhar kya kare, ham khud nishana ban gaye, war kya kare, Mar gaye ham par khuli rahi aankhe, aab isase jyada unka intejar kya kare?
Likhu Kuch Aaj Yeh Waqt Ka Takaza Hai;DiL Me Dard Abhi Taza-Taza Hai;Gir Padte Hai Aansu Mere Kagaz Par, lagta hai KaLam Me Syahi Kam Aur ishq zyada Hai…
Mohabbat ki daastan sunane aye he,Tabah karne k baad wo pyar karne aaye he, Aansu to ponch liye the hamne kab ke,Magar wo hame fir se rulane aaye he.
Aansu nikal jate hai rone se pehle. sapne toot jate hai sone se pehle, ishq gunah hai sab ko pata hai.kash koi rok leta gunah hone se pehle
Jaan kar bhi mujhe jaan na paaye, Aaj tak woh mujhe pehchan na paye, Khud hi kar li hamne bewafai, Taki unpar koi ilzaam na aaye.....
Na dil se hota hai na dimaag se hota hai,Yeh pyaar to ittefaaq se hota hai...Aur kya kahein pyaar karke bhi pyaar na mile yeh itefaaq sirf hamare hi saath hota hai....
tanhai mein rote hain wo, hothon pe tabassum hai to kya hua... zindagi jeete hain wo, har zahar peete hain to kya hua... aaj bhi apni parchhaiyon mein dhoondta hoon use... yaad to taaza hai hum maazi (past) hue to kya hua... :-)
roz hota hai tarruf mera teri yAdoN se, chhalakta hai noor tera meri AnkhoN se, tadap raha hoon maiN aur ab ye Alam hai, aur intezaar nahi hota ab meri sasoN se,
jinka hamne ashiyana banaya... unhone hame hi nishana banaya... bahut koshish ki unhe apna banane ki.. har baar unhone hame begana banaya..
Ulfat ka aksar yehi dastur hota hai jise chaho wahi apne se dur hota hai Dil tutkar bikharta hai is kadar jaise koi kanch ka khilona chur-chur hota hai!
Har Dhadkan Me Ek Raaz Hota Hai, Har Baat Ko Batane Ka Ek Andaz Hota Hai, Jab Tak Thokar Na Lage Bewafai Ki, Har Kisi Ko Apane Pyaar Par Naaz Hota Hai
Royegi aakhe muskurane ke baad, aayegi raat din dhaljane ke baad, oh janewale zara mud ke dekh, shayad yeh ZINDAGI hi na rahe tere jaane ke baad…
Teri yaad mai aasuo ka samandar bana liya, Tanhai ke saher mai apna ghar bana liya, Suna hai log pujte hai patther ko, Es liye dil apna patther bana liya.
Dil gumsum, zuban khamosh Yeh aankhen aaj nam kyon hai. Tune kabhi paaya hi na tha, To aaj khone ka gam kyon hai.
Usko kya saza doo, jisne mohabbat main hamara dil tod diya, Gunah to humne kiya, jo uski baton ko mohhabat ka rang diya.
------------------------------
Tum Kya jano peena pilana,
Kaise pilai jati hai,
Dhakkan khulta hai baad me,
pahale bottle hilai jati hai.
ye jo peene pilane ki baat karte hai,
hum bhi kabhi piya karte the.
jitni pee ker ye behak jaate hai,
iyni to hum glass me chod diya karte the
Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega
har lamha kisi din laut ke mere ghar aayega,
jahan mein jab thokar lagegi to mere dost tu aur kidhar jayega,
Aaj dard bahut mila tujhse par gam nahi,
mere dard mein aasman bhi aansoo bahayega .
TERI JUDAI BHI HUM SE PYAAR KARTI HAI
TERI YAAD BAHUT BEKARAR KARTI HAI
WO JO DIN TERE SATH GUZARE HAI
TALASH UNKO YE NAZAR BAR BAR KARTI HAI
CHAHAT ko TERI dil se BHULAYA na jae ga
SENE ka ye CHRAGH BUJHAYA na jae ge
CHAHAT mein TERI shehr mein BADNAM ho gae
RUSWAI ka ye DAGH mitaya na JAE ga!
jab kisi ke sapne kisi ke arman ban jaye,
kisi ki hasi kisi ki muskan ban jaye,
Bepanha pyar kehte hain use,
Jab kisi ki saanse kisi ki jaan ban jaye.
What is the moral of movie RANG DE BASANTI?
Ladkiyo ke lafde me mat pado…
Khali ladkiya bachti hai,
baki sab ladke mar jate hai..
hasraton se hum apki rah saja denge
sapno ki daulat aap per luta denge
koi phool nai aaj daman me lekin
Aap k aane per hum palke bichha denge